Hello friends, Hinglishblog.in par
aap sabka swagat hai aaj ka blogpost ek government scheme ke bare mein hone
wala hai. Is government scheme ka nam hai
Pradhan Mantri Kisan Samman Nidhi Yojana (PM Kisan Yojana).
Ye scheme spacially small and marginal (chote-mote) farmers/kisano ke liye
laya gya hai. Is scheme ke chalte salana kisano ko minimum Rs 6000 ka income
support milega.
PM-Kisan yojana ka total budget Rs 75,000 crore ka
hai, aur is yojana ke madad se 125 million kisano ko aur unke family ko madad milegi.
Table Of Content
PM Kisan Yojana Kya Hai?
Pradhan Mantri Kisan Samman Nidhi (PM-Kisan) ek scheme hai jo centre
duara kisano ke liye shuru kia gya hai, aur is scheme mein 100% funding government
of India ka hai. PM-Kisan yojana ko 1/12/2018 mein govt. of India ne launch
kia tha.
Is scheme ke madhyam se pure India ke kisano aur unke family (wife or
son/daughter under 18) ko salana Rs 6000 ka income support govt. of India ke taraf se
milega, jo ki 3 installment mein diya jayega, Rs 2000 har 4 mahine.
Jo amount hai wo directly kisano ke bank acount mein transfer kia jayega ya
fir unke family ke bank account mein transfer kia jayega.
PM-Kisan scheme ke liye kon paatr hai?
- Small and marginal (chote-mote) farmers/kisan is scheme ka lav utha sakte hai
- Kheti karne wale kisan jinke pas apna jamin hai kheti karne ke liye wo is PM-Kisan yojana ka lav utha sakta hai.
- Gram aur seher, dono jage ke kisan is PM-Kisan yojana ka lav utha sakte hai.
PM-Kisan scheme ke liye kon paatr nahi hai?
- Jo log income tax pay karte hai wo is scheme lav nahi utha sakte hai.
- Professionals jese ki Doctors, Lawyers, aur Engineers is PM-Kisan yojana ka lav nahi utha sakte hai.
- Jo retired hai aur Rs10,000 mahine ka pension le rahe hai unko is scheme ka lav uthane nahi milega.
- Agar ek kisan ya uska koi family member constitutional post par hai matlab politics se jura hai toh wo bhi PM-Kisan yojana ka lav nahi utha sakte hai.
- Koi bhi sarkari naukri karne wala chahe state ya centre, aur government services se jura hua vyakti is PM-Kisan yojana ka lav nahi utha sakta hai.
- Top-class kisan jiska economic status bahut jayda wo is yojana ka lav nahi utha sakta hai.
PM-Kisan Samman Nidhi (PM-Kisan Yojana) Par Register Kaise Kare?
Government duara shuru ki gyi PM-Kisan yojana par register karne ke liye aapko
local land revenue officer (Patwari) ya Nodal officer (jo state govt. duara
nominate kia jata hai) ke pass jana hoga.
Common Service Centres (CSCs) ko bhi ko authority di gyi hai kisano ki
registration karwane ka lekin uske liye aapko ek minimum fee pay karna hoga.
Farmer Corner Portal | Farmer Corner kya hai?
Pradhan Mantri Samman Nidhi Yojana ke official site "pmkisan.gov.in" par farmer corner nam ka ek section hai jaha kisan khud apna
registration kar sakta hai aur apne payment ka status bhi check kar sakta hai.
PM-Kisan Documents
- Aadhaar Card
- Citizenship Certificate
- Jamin ke dastavej
- Bank account details
Related Posts
Government Yojana
April 09, 2022
0
Comments
Post a Comment
Please do not enter any spam links.