Digital Marketing un har ek marketing karne ke prayas ko kaha jata hai jaha par koi bhi electronic device jese ki computer ya mobile phone
Digital Marketing Kya Hai?
Digital Marketing un har ek marketing karne ke prayason ko kaha jata
hai jaha par kisi bhi electronic device jese ki computer, mobile phone, ya
internet ka prayog kia jata hai. Business mein maximum profit pane ke liye
sellers digital channels jese ki search engine, email, aur anya websites ka
istamal karte hai taki vah customers se digitally connect ho sake.
Company mein digital marketing ka kya role hai?
Traditional marketing mein printed ads, phone communicatiopn, aur physical
marketing hota hai, jab ki digital marketing mein sub kuch electronically aur
online hota hai. Isike chalte kisi bhi brand ko customer tak phochane ka
possibilities(sambhavna) bahut jayda badh jata hai.
Aaj ke time mein digital marketing bahut jayda important role
nibhati hai kisi bhi business aur barnd ke jagrukta ko badhane mein. Agar aap
dekhe toh har ek different brand ka apna website hota hai agar website na bhi
toh atleast social media par present jarur rahte hai.
Digital Marketing ke prakar
- Search Engine Optimization(SEO)
- Social Media Marketing
- Affiliate Marketing
- Email Marketing
- Sponsored Content
- Content Marketing
- Pay Per Click(PPC)
Digital Marketing Kese Kare?
1. Apne lakshay ko define kare
Jab aap first time digital marketing start karte hai toh ye bahut important
hai ki aap apne lakshay ko identify aur define kare, kyunki aapka pura
marketing karne ka strategy apke goals par nirbhar karta hai.
For example- agar apka goal apne brand awareness ko badhana hai toh aap adhik
dhyan dena chahenge ki kese naye logon tak pahuncha jaye social media ke
duara. Ya fir shayad aapko apne kisi specific product ya service ke sales ko
increase karna hai us case mein sabse jayda important hai SEO mein focus
karna.
Website ko optimize karke aap potential buyers apne website par la sakte hai.
Iske saath aap PPC campaigns ke madad se heavy traffic apne website par la
sakte through paid ads.
2. Apne lakshit darshakon ki pahachan kare
Jese ki aapko pata hoga digital marketing ka sabse badha laab specific
audience ko target karne ki opportunityu pradan karti hai. Aur is advantage ka
laab tabhi utha sakte hai jab aap sabse phele apne lakshit darshakon ki
pahachan karenge.
3. Apne har digital channels ke liye budget set kare
Jo budget aap digital marketing ke liye set karte hai wo pura us particular
element(tatva) par nirbhar karta hai jo aap marketing strategy par add karna
chah rahe ho.
Agar aap inbound techniques like SEO, social media, content creation par focus
karte hai toh usmein good news ye hai ki jayda karch karne ki jarurat nahi
hai. Inbound marketing mein main focus apko high quality content banane mein
karna padega. Isme apko bahut jayda time invest karna hoga.
Outbound techniques like online advertisement karna aur email list kharidna,
isme expense bahut jayda hai.
4. Paid aur free digital marketing strategies ke bich balance maintain kare
Ek digital marketing strategy ko effective hone ke liye both paid aur free
pahaluon ki jarurat hoti hai. Misal ke taur par, agar aap apna time
comprehensive buyer personas ko build karne mein lagate hai apne audience ke
need ko identify karne ke liye aur focus karte hai high quality online content
banane par.
Logon ko attract karke convert karte hai toh apko kam kharch ke bavajood pehle
six mahine ke bhitar strong results dekhne ko milega.Halanki, agar aap paid
ads ki strategy lagate hai toh ye results aapko aur jaldi dekhne milega.
Anth mein, long-term aur sustainable sucess ke liye quality content, SEO,
social media ke madad se apne organic(free) reach ko badhane mein focus karna
chahiye.
5. Aakarshak content banaye
Ek bar jab aap apne audience ko jaan lete ho aur budget bhi set kar lete ho uske bad apko content create karna shuru kar dena chahiye un alag alag chennels par jo aap use karte ho. Yah content social media post, blog post, PPC ads, sponsored content, email marketing, etc ho sakte hai. Yah jaruri hai ki apka content intersting aur engaging ho to your audience kyunki the whole point of marketing content yahi hai ki aap apne brand awareness ko badha sake aur lead generation imporve kar sake.
6. Keyword research kare
Digital marketing ka kam hi yahi hai ki aap apne lakshit audience tak jaldi reach kare through personalized content - jo bina keyword research ke nahi ho sakta. Keyword research bahut important hai apke website aur content ko SEO ke liye optimize karne mein aur yah sunichit bhi karta hai ki log apke business, service, product ko search engine duara dhund sake. Iske saath saath social media keyword research bhi bahut helpful hota hai apke product ya service ko alag alag social channels par market karne mein.
Digital Marketing Ke Fayede?
1. Aap particullarly un logon ko target kar sakte hai jinko apka product ya service kharidna ho
Jab aap koi advertisment TV, Magazine, ya bade Poster par karte hai tab uski reach limited hoti hai aur controlled hoti hai, beshak aap kuch data maap sakte hai jese magazin ko kis prakar ke log padh rahe hai ya kisi jagah par logon ke interest ke upar. Lekin fir bhi yeh ek andhere room mein goli chalane wali baat ho jati hai.
Wahi dusre or digital marketing aapko atyadhik vishhist darshak ko pahachanne aur target(lakshit) karne ke saat saat unko personalized, high converting marketing message send karne ki anumati deta hai.
Example ke taur par aap social media ke targeting features ka use karke lav utha dakte hai jo aapke social media ads ko alag alag logon tak phochane mein madad karengi based on age, gender, location, interest, and etc. Ya fir aap SEO strategies ko use karke bhi apne product ya service ko logon tak phocha sakte hai.
Ultimately, digital marketing aapko saksham banati hai research karne mein aur apne product ya service ke liye sahi buyer khoojne mein.
2. Yah bahut hi cost-effective(lagat prabhave) hai purane methods ke tulna mein
Digital marketing, aapko daily basis par ads, camapigns
bagera ko track karne mein saksham banati hai aur aapke amount of money
ko kam kar deti hai jo aap normally kisi ese channel(pranali) par spend
karte hai jo aapko high return on investment nahi pradan karti
hai.
Plus digital marketing mein aap paisa kaha karch kare ya invest kare
usska pura ka pura control apke pas rehta hai. Digital Marketing
strategy aapko continuously market mein balance banaye rakhne mein madad
karti hai aur yah ensure karti hai ki aapka paisa waste na ho ese
channel mein jo acha perform nahi kar raha ho.
Agar aapka small business hai limited budget ke sath toh aap social
media, blogging, Seo in 3 strategies ke saat acha return on investment
le sakte kam se kam kharche mein.
3. Digital marketing measurable hai
Digital marketing aapko marketing karne ki process ko ya ganit ko
shuru se lekar anth tak bistrit roop mein dikhati hai, jisme ki
include hota hai aapka impressions, shares, views, clicks, aur time
on page. Aur ye sabse badha fayda hai digital
marketing ka.
Jabki traditional advertisment ka sabse bada limitation ye hai ki
hum usse measure nahi kar sakte hai bhale hum usse kuch goals achive
kar pate hai.
Adhikansh offline marketing prayason ke biparit, digital markeing marketers ko anumati deti hai real time mein accurate results
dekhne ki. Kyunki agar aapne kabhi newspaper par ads published ki
hogi toh aapko pata hoga bahut mushkil hota hai ek estimate lagane
mein ki kitne log ne actually mein us page ko khola hoga aur aapke
ads ko notice kia hoga.
Aur ismein aap sure bhi nahi ho askte ki ye ads kisi bhi sales ke
liye jimedar tha. Wahi dusre aur, digital marketing ke saath aap
apne marketing prayason ke kisi bhi pahaloo par ROI(return on
investment) maap sakte hai.
4. Digital Marketing se aap industry mein apne se bade khiladiyon ko piche kar sakte hai
Agar aapka business bahut chota hai toh industry mein aapke
liye ye bahut mushkil hoga kisi bade brand ke against compete
karna, jin mein se bahuton ke pass croron ka paisa hai TV
commercials, bade campaign mein invest karne ke liye.
lekin lekin lekin fortunately bahut sare ese opportunities bhi
hai jaha aap strategic digital marketing initiatives ko apply
karke bade bade khiladi ko piche kar sakte hai. Misaal ke taur par aap apne product ya service related kuch long
tailed keyword ke prayog se high quality content create kar sakte
hai jo aapko search engine par rank karne mein madad karegi.
Search engine ko koi farak nahi padta konsa brand bada hai.
Bajaye un content ko priority deti hai jo targeted audience ke
questions ka bahut detailed mein answers provide karti
hai.
FAQs
Q: Digital Marketing kya hai?
A: Digital marketing ek aisa process hai jisme online
channels aur platforms ka use karke apne products ya services
ko promote kiya jaata hai. Digital marketing ke liye aap
search engines, social media, email, aur other online channels
ka use kar sakte hai.
Q: Digital Marketing ke fayde kya hai?
A: Digital marketing ke bahut sare fayde hai jaise ki
aap apne target audience tak easily aur cost-effective tarike
se reach kar sakte hai, aap apne marketing efforts ko track
aur measure kar sakte hai, aap apne audience ke behaviour aur
preferences ko better understand kar sakte hai, aur aap apni
sales aur revenue ko increase kar sakte hai.
Q: Digital Marketing me kaun-kaun se channels aur platforms
ka use kiya jata hai?
A: Digital marketing ke liye aap different channels aur
platforms ka use kar sakte hai jaise ki search engines (SEO,
PPC), social media (Facebook, Instagram, Twitter, LinkedIn,
etc.), email marketing, content marketing, video marketing,
aur affiliate marketing.
Q: Digital Marketing ka ROI kaise calculate kare?
A: Digital marketing ka ROI calculate karne ke liye
aapko apne revenue aur marketing cost ko consider karna hoga.
Iske alava, aapko apne conversion rate aur customer lifetime
value ko bhi consider karna hoga. ROI calculate karne se aap
apni marketing efforts ki profitability ko measure kar sakte
hai.
Q: Digital Marketing me SEO kya hai?
A: SEO (Search Engine Optimization) ek process hai
jisme aap apne website ko search engine ke liye optimize karte
hai, jisse aapke website ke organic search results me better
visibility aur ranking mil sake. SEO me aap apne website ke
content, meta tags, aur other technical aspects ko optimize
karte hai.
Q: Digital Marketing me PPC kya hai?
A: PPC (Pay Per Click) ek paid advertising model hai
jisme aap search engines ya social media platforms par ads
display karte hai, aur aapko tab hi payment karna hota hai jab
koi user aapke ad par click karta hai. PPC ads ki performance
ko track aur measure karne ke liye aap different metrics ka
use kar sakte hai.
Q: Digital Marketing me social media ka kya role hai?
A: Social media ek important digital marketing channel
hai jisme aap apne target audience ko engage kar sakte hai,
unhe apne brand ke baare me aware kar sakte hai, aur unhe apni
offerings ke baare me inform kar sakte hai. Social media me
aap apne audience se direct communication bhi kar sakte hai,
jisse aap unke feedback aur preferences ko better understand
kar sakte hai.
COMMENTS