Land revenue services ko lekar jitne problem hai unko solve karne liye aur system ko aur jayada efficient banake ke liye ye is mission basundhara
Toh friends aaj jo yojana ke bare hum study karne wale uska nam hai "Mission Basundra Assam" yojana hai jo specially Assam ke logon ke liye introduce kiya gaya hai Dr.
Himanta Biswa Sarma ke leader ship ke andar.
Mein asha karta hun ki apko humara ye blogpost acha lage aur apko is post se
information hasil ho aur hum apne contribution ke duara apke life mein kuch
value add kar sake.
Mission Basundhara Kya Hai?
Assam rajya ke Revenue aur Disaster Management department ne ek naya portal
develop kia hai jiska nam Mission Basundhara hai, jo ki Assam
state/rajya ke land records ko resolve aur update karne ka kam karegi.
Current chief minister of Assam Dr. Himanta Biswa Sarama ke leadership ke
andar department of Revenue aur Disaster Management ko bahut sare reforms
dekhne ko mil raha hai jismein land ko lekar bhi kahi reforms shamil hai. Aur
isiliye mission Basundhara yojna ko laya gya hai.
Land revenue services ko lekar jitne problem hai unko solve karne liye, and
system ko aur jayada efficient banake ke liye ye is mission basundhara concept ko Dr. Himanta Biswa Sarma ke leadership ke andar forward kia
gya tha.
Is mission ke duara Goverment of Assam tamam state ke citizens ko ek acha
service provide karna chata hai aur land services ko lekar jitni bhi
pareshaniya hai unse logon ko mukt karana chata hai.
Mission ke components
Mission Bashundhara sirf 3 mukhya components ko focus karta hai. Agar hum
mission basundhara ko divide karna chahe toh wo 3 alag-alag
component mein devide hoga.
- Purification of land records in a mission mode (bhoomi abhilekhon kee shuddhi).
- Polygon survey of yet to be surveyed 672 non-cadastral villages (672 gair bhookar graamon ka sarvekshan).
- Re-survey of 18789 cadastral villages of 27 districts using a hybrid methodology (hybrid paddhati ka upayog karate hue 27 jilon ke 18789 bhookar gaanvon ka punarsarvekshan).
Mission Basundhara se milne wale services
- 1. Mutation by right of Inheritance
- 2. Mutation of after Deed Registration
- 3. Partition for Undisputed cases
- 4. Conversion from Annual Patta to Periodic Patta
- 5. Reclassification of Agriculture Land to Non-Agriculture Land less than 1 Bigha
- 6. Striking out of Name from Patta
- 7. Allotment Certificate to Periodic Patta
- 8. Legacy Data Updation
- 9. Mobile Number Updation
Mutation by right of Inheritance kya hai?
Mission Basundhara yojna ke andar ye jo term hai mutation by right of
inheritance is matlab hai us vyakti ka nam register karna jo ki property ka
legal varees hai jise Jamabandi khate hai. Jo land hota hai wo recorded land
owner se legal varees ko tranfer kia jata hai Inhetritance ke madad se. Ye
service bilkul free hai aur ye provision follow karta hai under Sec 53 A
(1), ALRR, 1886.
Mutation of after Deed Registration kya hai?
Mission Basundhara yojna is term ka matlab hai jab propety ko tranfer ya
sell kar dia jata hai, tab jo naya owner hai usko ownership ka title milta
hai usko register karna. Jo land wo naya owner ke nam se register ho jata
hai aur jo land revenues ya tax hai wo naya owner se lia jata hai. Ye
service bhi bilkul free hota hai.
Partition for Undisputed cases kya hai?
Mission Basundhara yojna ke andar is service mein ek bade property (estate)
ko chote-chote property mein devide karna ya hum kah sakte hai partition
karna. Taki jitne bhi log hai wo alag-alag apne hisa ka land revenue pay kar
sake. Jo bhi property ka actual owner hai aur agar uske interest mein hai
toh partition ke liye apply kar sakta hai. Aur service bhi free hai.
Conversion from Annual Patta to Periodic Patta kya hai?
Ye conversion ek esa process hai jaha land ka jo status rehta hai ki ye ek
saal ke liye settled hai (anual patta) use badhaya jata hai yaniki land
settel ke tenure ko badhaya jata hai. Fir jab ye land ka status anual patta
se periodic patta mein change ho jata fir land ke jitne bhi rights hai wo
owner ke pass aah jata hai. Aur ye service bhi bilkul free hai.
Reclassification of Agriculture Land to Non-Agriculture Land less than 1 Bigha kya hai?
Har land ka apna ek class hota hai. So, agar apka land ko use karne ka
purpose alag hai toh apko land ka class ko bhi change karna padega. Is
service mein aap apne land ko re-classify karte hai from Agriculture land to
non-agriculture land par shart ye hai ki apka land 1 Bigha kam hona padega.
Ye bhi ekdam free service hai.
Striking out of Name from Patta kya hai?
Mission Basundhara yojna ke is sesrvice mein ye hota hai ki jo vyakti
property ko own nahi karta hai uska nam record of right remove kar
diya jata hai under rule 166, ALRR, 1886.
Allotment Certificate to Periodic Patta kya hai?
Apka jo possession mein property hai usko varify karke allotment certificate
ko periodic patta mein convert karna, wo bhi ek particular time tak matlab
jab tak wo contract valid hai.
Legacy Data Updation kya hai?
Name correction: Agar apko Pattadar ka nam change karna hai, ya land
ko lekar kuch change karna hai, ya Jamabandi me kuch change karna hai. Ye
sare correction aap is service duara kar sakte hai.
Area correction: Agar apko Pattadar ka nam change karna
hai, ya land ko lekar kuch change karna hai, ya Jamabandi me kuch change
karna hai. Ye sare correction aap is service duara kar sakte hai.
Mobile Number Updation kya hai?
Jo Pattadar hota hai wo is mission basundhara service ke duara apna mobile
number update kar sakta hai.
FAQs
Q: Mission Basundhara Assam Portal kya hai?
A: Mission Basundhara Assam Portal ek online portal hai jiska use
Assam ke rural areas ke development ke liye kiya jaata hai. Is portal se
rural areas ke logon ko government schemes aur programmes ke baare me
jaankari milti hai.
Q: Mission Basundhara Assam Portal kisne launch kiya hai?
A: Mission Basundhara Assam Portal ko Assam ke Chief Minister Shri
Himanta Biswa Sarma ne launch kiya hai.
Q: Mission Basundhara Assam Portal se kya benefits hai?
A: Mission Basundhara Assam Portal se rural areas ke logon ko
government schemes aur programmes ke baare me jaankari milti hai. Isse
unki life style improve hone ke saath-saath unke liye job opportunities
bhi create ho sakte hai.
Q: Mission Basundhara Assam Portal pe kaun sa information available
hai?
A: Mission Basundhara Assam Portal pe government schemes,
agriculture, health, education, employment, banking, aur other services ke
baare me jaankari available hai.
Q: Mission Basundhara Assam Portal pe registration kaise kare?
A: Mission Basundhara Assam Portal pe registration ke liye portal
ke homepage pe "Register" button pe click kare aur required details fill
kare.
Q: Mission Basundhara Assam Portal se kaun se services available
hai?
A: Mission Basundhara Assam Portal se education, employment,
agriculture, health, banking, aur other services available hai.
Q: Mission Basundhara Assam Portal ka use kis tarah se kiya ja sakta
hai?
A: Mission Basundhara Assam Portal ka use PC, laptop, smartphone ya
kisi bhi internet-enabled device se kiya ja sakta hai.
Q: Mission Basundhara Assam Portal ka use kis logon ke liye beneficial
hai?
A: Mission Basundhara Assam Portal ka use rural areas ke logon ke
liye beneficial hai, jisse unko government schemes aur programmes ke baare
me jaankari milti hai aur unke liye job opportunities create ho sakte hai.
Q: Mission Basundhara Assam Portal kya hai aur iska goal kya hai?
A: Mission Basundhara Assam Portal ek online portal hai jiska goal
Assam ke rural areas ke development ke liye kiya jaata hai. Is portal se
rural areas ke logon ko government schemes aur programmes ke baare me
jaankari milti hai aur unke liye job opportunities create ho sakte hai.
Q: Mission Basundhara Assam Portal ke future plans kya hai?
A: Mission Basundhara Assam Portal ke future plans me expansion of
services, improvement of user interface, aur increased collaboration with
private sectors shamil hai. Iske alava, portal ko more user-friendly aur
accessible banaya ja sakta hai.
COMMENTS