artificial intelligence ek esi vigyan hai, ek esi engineering hai jaha intelligent machines banaya jata hai khas tor par intelligent computer..
Hello friends, hinglishblogin par aap sabka welcome hai. Aaj ka
blogpost ek bahut hi burning topic par hai aur log kahte hai ki ye ek esa
technology hai jo pure duniya ko revolutionize karne ki ability rakhta hai
matlab badal dene ki shamta rakhta hai.
Toh dosto kya apne "Artificial Intelligence" ka nam suna
hai ye ek esa topic jo aaj ke samay mein bahut hi charche mein hai.
Agar apko thora bahut bhi idea hai ki artificial intelligence kya hai
toh ye bahut achi baat hai aur agar apko is topic ke bare mein bilkul bhi idea
nahi hai jese ki ye kya hai, kaise hai, toh ye blogpost bilkul apke liye hai.
Artificial Intelligence kya hai?
Agar dekhe toh aaj ke time par internet ke upar bahut sari Artificial Intelligence ki paribhasa padi hui hai lekin agar hum "John McCarthy " ji ko qoute
kare jo ki artificial intelligence ke founder mein se ek hai toh wo kahte hai
ki basically artificial intelligence ek esi vigyan hai, ek esi engineering hai
jaha intelligent machines banaya jata hai khas tor par intelligent computer
programs.
Simple shabd mein bolu toh ek esa machine jo insano(Humans) ke jesa
understanding aur intelligence rakhta ho ya insano jesa sochta ho ya act karta
ho. Artificial intelligence ko hindi mein "krtrim hosiyari" kaha jata
hai.
Turing test kya hai?
Basically turing test yahi hai ki koi bhi Artificial Intelligence entity (koi
machine ya bastu jo AI rakhta ho) kisi human ke sath bartalap kar sake bina
kisi problem ke. Aur agar us insan ko phele se pata na ho ki ye ek AI hai toh
usse bartalap ke dauran bilkul ye nahi lagna chahiye ki wo ek AI se baat kar
raha hai.
Artificial Intelligence kaise kam karti hai?
Ek AI system build karne ke liye bahut savadhani se kam karna padta hai yaha
reverse-engineering karke machines ke andar human traits(lakshan) aur
capabilities ko dala jata hai, fir uske powers ko hum apne kamo ke liye use
karte hai.
Actually mein artificial intelligence kaise kam karti hai isko samjhne
ke liye hume aur gaharai mein jake artificial intelligence ke sub-domains ke
bare mein samjhna hoga, aur kaise hum in alag-alag- domains ko alag-alag
fields mein use karte hai.
Machine Learning
ML ek process hai jaha ek machine apne past experience ke based par decision
lena ya kisi kam par interference(hastakshep) karna sikhta hai. Ye patterns
identify karta hai aur apne pichle data analyse karta hai unmien meaning
dhunta hai aur fir ek suitable conclusion banata hai apne problem ka. Ye jo
automatic conclusion evolve hoke ata hai ismein koi bhi human involvement nahi
hota hai, jo humans ke liye time saving hota hai.
Deep Learning
Deep learning ek technique hai jo machine learning ke andar ata hai. Ye
machines ko koi bhi input layers ke form mein process karna sikhata hai taki
wo outcome ko easily classify aur predict kar sake.
Neural Network
Neural network usi tarah kam karta hai jis tarah human neural cells. Ye bahut
sara algorithm ka ek series hai jo kisi bhi 2 ya use jayda bastu ke bich
relation capture karta hai or uske according data process karta hai exactly
jese humara brain karta hai.
Neural Language Processing
NPL ek esa process ya science hai jaha machine koi language ko read,
understand aur fir interpret karta hai, aur ekbar jab machine ko pata lag jata
hai ki users kya khana chah raha hai fir uske according machine respond karta
hai.
Computer Vision
Computer vision, algorithm hota hai jaha ek machine kisi image ko break karke
uske alag-alag part ko study karta hai aur samajhta hai. Isse machine ko kisi
bhi set of image ko classify aur learn karne me asani hota hai aur isike based
par machine acha out decision de pata hai.
Cognitive Computing
Ye bhi ek algorithm hai jo human brain ko mimic karne ka try karta hai kisi
text/speech/image/object ko analyse karke. Humans ke hi tarah ye bhi in sab
data ko analyse karke desired output deta hai.
Artificial Intelligence kitne prakar ke hote hai?
- Artificial Narrow Intelligence
- Artificial Genaral Intelligence
- Artificial Super Intelligence
Stong aur weak Artificial Intelligence kya hai?
Jab hum artificial intelligence ke andar aur deep jate hai tab hum AI ko 2
categories mein devide kar dete hai strong AI aur weak AI. In
dono terms ko John Searle ne introduce kia tha taki hum AI machines ko
unke performance level ke upar differentiate kar sake.
- Strong AI: Ye ek bahut hi bada application hai iska scope bahut hi vast hai. Strong AI human level ki intelligence ko posses karta hai. Ye clustering aur association ka use karta hai data process karne ke liye. Eg: Advance Robotics
- Weak AI: Ye bhaut hi narrow(chota) application hai iska scope bahut hi limited hai. Weak AI ka use specific task karne ke liye use hota hai, ye AI supervised aur unsupervised learning use karke data process karta hai. Eg: Siri, Alexa.
Artificial Intelligence ke examples(udaharan)
- 1. Siri, Alexa, Google Assitance, etc
- 2. Khud se chalne wali cars
- 3. khud se kam karne wale robots
- 4. Robo-advisors
- 5. Spam emails ko filter karne wala system
- 6. Apps use karte samye recommendations milna
FAQs
Q: Artificial Intelligence (AI) kya hai?
A: Artificial Intelligence ek aisi field hai jisme computer systems
ko intelligent banaya jaata hai jisse wo kuch tasks ko human-like tarike se
complete kar sake.
Q: AI ke liye kya skills aur knowledge chahiye?
A: AI ke liye aapko computer programming, mathematics, aur machine
learning ke concepts ko samajhna chahiye. Iske alava, aapko data analysis
aur data modeling ke skills hone chahiye.
Q: Machine learning kya hai?
A: Machine learning ek AI technique hai jisme machines ko data se
sikhaaya jaata hai kisi specific task ko complete karne ke liye.
Q: Neural network kya hai aur iska use kya hai?
A: Neural network ek machine learning technique hai jisme computer
systems ko human brain ke tarah kaam karne ki capability di jaati hai. Iska
use image recognition, natural language processing, aur computer vision me
kiya jaata hai.
Q: Robotics kya hai aur isme AI ka use kaise kiya jaata hai?
A: Robotics ek field hai jisme machines ko control kiya jaata hai. AI
isme use kiya jaata hai ki machines ko kuch tasks ko perform karne ke liye
human-like tarike se program kiya jaata hai.
Q: AI ke liye tools kya hai?
A: AI ke liye bahut sare tools hai jaise ki TensorFlow, PyTorch, aur
Scikit-learn. Iske alava, aapko programming languages jaise ki Python, Java,
aur C++ ko bhi jaan lena chahiye.
Q: AI ke liye kya challenges hai?
A: AI ke liye kuch challenges hai jaise ki data privacy, data
security, aur ethical issues. AI ke use ke sath-sath data ka sahi use aur
privacy ke guidelines ko follow karna bhi zaroori hai.
Q: AI ka future kya hai?
A: AI ka future bahut bright hai aur iska use industries me bahut
jyada grow kar raha hai. AI ke use ke sath-sath industries me efficiency aur
productivity bhi improve ho rahi hai.
Q: AI ka use kis industries me kiya jaata hai?
A: AI ka use bahut sare industries me kiya jaata hai jaise ki
healthcare, finance, manufacturing, aur retail. AI ke use ke sath-sath
industries me processes ko automate kiya jaata hai aur productivity ko
increase kiya jaata hai.
Q: AI ke future me kya challenges hai?
A: AI ke future me kuch challenges hai jaise ki job loss, ethical
issues, aur cyber security. AI ke use ke sath-sath industries me workforce
ko upskill karna aur ethical guidelines ko follow karna bhi zaroori hai.
COMMENTS