Table of content
- Affiliate marketing kya hai?
- Affiliate marketing kaise kam karti hai?
- Affiliate marketing kaise kare?
- Amazon affiliate marketing kya hai?
Hello doston aap sabka welcome hinglishblogin par aaj ka topic hai affiliate marketing. Aur agar apko affiliate marketing ke bare me bilkul knowledge nahi hai toh ye blogpost apke liye hai. Humne yaha pe affiliate marketing ke basics cover kiye hai.
Affiliate Marketing Kya hai?
Basically affiliate marketing ek prachar(advertisment) karne ka tarika hai
jaha ek company kisi third-party publisher ko muavaza deti hai apne product ya
services ki leads aur traffic utpan karne ke liye.
Simple shabd me company ek
individual(affiliate) ko tabhi commission deti hai agar uske reffer duara koi
sale utpan hua toh.
In third-party publishers ko affiliates kaha jata hai, aur commisions in
affiliates ko protsahit karti hai company ko alag-alag tarike se badhava dene
mein.
- Affiliate marketing ek marketing karne ka scheme hai jaha company apne partner ko muavaza deti hai apne products ko promote karne ke liye.
- Digital marketing, analytics, cookies ne affiliate marketing ko aaj ke din par billion-dollar ka industry bana diya hai.
- Companies apne affiliates ko per sale ke basis par pay karta hai.
Agar apko digital marketing ke bare knowledge nahi hai aur aap janna chate hai ki digital marketing kya hai. click kare
Affiliate marketing kaise kam karti hai?
Ye kuch steps(charan) hai jo apko karna hoga affiliate marketing program me
bhag lene ke liye:
- Affiliate program dhundiye aur join kijiye.
- product ya offer choose kijiye jo apko promote karna hai.
- Har ek product ke liye unique link hota hai unhe prapt kijiye.
- Un links ko apke blog, social media, ya website par share kijiye.
- Commission kamaye jab bhi koi apke link se koi product kharidta hai.
Commission rate upar niche hote rehta hai aur pura company aur product par
depend karta hai. Ekdam low end par aap ko 4-5% ka commission milta hai aur
high end par 50% tak ka commission mil jata hai. Kuch affiliate program ese
bhi hai jaha apko fixed rate per sale par milte hai sibaye percentage ke.
Affiliate marketing kaise kare?
Affiliate marketing karne ke liye sabse pehle aapko ek platform choose karna
hoga jaha aap product ya service ko promote karenge. Blogs sabse best
consider kia jata hai kyun ki yaha bloggers apna rai rak sakte hai us
particular product ya service ke bare mein.
Ek bar apne platform choose kar liya fir aap ek specific category ko choose
karenge jisme apka interest hai aur aap promote karne me comfortable feel
karte hai. Agar aap ek particular category par focus karte hai to wo aapko
dedicated customer provide karta hai jise lead generation easy ho jata hai.
Aapke need ke upar ki apko high commission earnig chahiye ya high traffic
chahiye uske based par affiliate program choose kijiye and solid aur
interesting content baniye aur focus kijiye apne traffic ko badhane me.
Amazon affiliate marketing kya hai?
Basically Amazon affiliate marketing ko "Amazon Associates Program" kaha
jata hai. Amazon associates program ek afffiliate marketing program hai jo
websites owners aur bloggers ko allow karta hai referral link create karne
me taki wo referral fees earn kar sake.
Jab bhi koi customer unke link se
Amazon se koi bhi product kharidta hai. Jo referral commission hai wo jayda
se jayda 10% tak hi milta hai.
Related Posts
Digital Marketing
December 07, 2021
0
Comments
Post a Comment
Please do not enter any spam links.