Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2022

Pradhan Mantri Jan Dhan Yojana Kya Hai? 2023

Swagat hai hinglishblog.in par aaj ka blogpost Pradhan Mantri Jan Dhan Yojana Kya Hai? ke upar hone wala hai. 28th August 2014 ko prime minister Narendra Modi ne Pradhan Mantri Jan Dhan Yojana (PMJDY) ko launch kia tha. Mein apko bata dun 15th August 2014 ko Independence Day ke din speech dete samaye prime minister Narendra Modi ne pehli bar is scheme ke baare mein annouce kia tha. Pradhan Mantri Jan Dhan Yojana Kya Hai? Yah ek scheme hai jo humare pradhan mantri Narendra Modi duara 28th August 2014 ko launch kiya gaya tha aur yah scheme ek national mission jo humare government ne apne desh ke logon ke liye launch kiya hai. Is scheme ke chalte humare desh ke log alag-alag financial services ko bahut hi minimum cost par pradan kar payenge. Jitne bhi financial services hai jaise ki money transfer, credit, pension, Insurance, Banking, Saving & Deposit account, etc. log in services ko bahut affordable cost par use kar payenge. Yah jitne bhi services hai sirf un logon ko pradan kiye jay

Fundamental Duties Kya Hai? | Maulik Kartavya Kya Hai?

Hello friends hinglishblog.in par apka swagat hai aaj ka blog post hai Fundamental duties (maulik kartavya) ke bare mein, agar apko Bharat ke nagrikon ka maulik kartavya ke  bare janna hai toh ye blog post bilkul apke liye hai. Fundamental Duties (Maulik Kartavya) Doston citizens ke rights aur duties (maulik kartavya) apas mein correlative hai jise hum alag-alag nahi kar sakte hai. Lekin suruwat ke time original constitution mein sirf fundamental rights (maulik adhikar) ke bare mein likha tha aur fundamental duties ke bare mein kahi bhi mentioned nahi tha. Constitution jab bann raha tha us samay constitution ko banane wale logon ko ye jaruri nhi laga ki vah fundamental duties (maulik kartavya) ko constitution mein add kare. Lekin state ke duties ko vah logon ne ache se constitution mein mentioned kiya tha as Directive Principles of State Policy. Bad mein 1976 mein fundamental duties of citizens (nagrikon ka maulik kartavya)

Cloud Computing Kya Hai? Full Jankari 2023

Swagat hai hinglishblog.in par agar apko humare website ka content acha lage toh please humein support kare. Aaj ka blogpost ek ese technology ke upar hone wala hai jo humare day-to-day life ka ek important part ban chuka hai. Mein Cloud Computing ke bare mein baat kar raha hun. Jab hum cloud  ki baat karte hai toh bahut logon yah lagta hai ki hum sky wale cloud ki baat kar rahe hai jabki esa bilkul nahi hai. Cloud computing ek technical term hai jo pura ka pura ek advanced aur naya technology par based hai. Doston agar apko pata hai ki cloud computing kya hai? toh apna views comment section par share kar sakte hai, aur jin logon ko cloud computing ke bare nahi pata unko mein bata dun ki aap daily is tech ko use karte hai. Udaharan ke taur par google drive, google photos, facebook, netfix, etc. Cloud Computing Kya Hai? Internet ke madad se alag-alag services (media, educational, etc.) ko logon tak deliver karne ko cloud computing kahte h

PM Kisan Ke Bare Mein Full Jankari 2023

Namaste hinglishblog.in par aap logon ka swagat hai. Aaj ke blog post par hum ek scheme (yojana) ke bare mein baat karne wale hai jo Indian government duara introduced kiya gaya hai. Is scheme ka nam Pradhan Mantri Kisan Samman Nidhi Yojana (PM Kisan kya hai?) hai. Jaise ki humein pata hai Bharat mein natural resources ki koi kami nahi hai, humare desh ek bahut hi hara-bhara desh hai, aur humare yaha ke logon ka khan-pan western deshon se bahut hi alag hai. Hum Indians desi khana pasand karte hai. Hum apne khane mein jo bhi raw materials use karte hai usse humare kisan bhai log yani ki farmers produced karte hai. Bahut farmers ese hote hai jo in raw materials jaise ki rice, vegetables, fruits, etc. ko bade scale mein produced karte hai kyunki un farmers ke pas kheti karne ke liye bahut sare jamin hote hai. Lekin kuch kisan bhai ese bhi hai jinke pas kheti karne ke liye bahut kam jamin hota hai, Toh in chote-mote kisan bhaiyon ko support kar