Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2022

UPI Kya Hai Aur Kaise Upayog Karte Hai? 2023

Kya aapko pata hai UPI kya hai aur kaise upayog karte hai? Swagat hai hinglishblog.in par, yah blog post UPI ke bare mein hone wala hai. Jo log vyaapar karte hai unka roj paiso ke sath len-den hota hai, toh unko pata hai ki UPI kya hai? Lekin bahut sare ese log bhi hai jinka vyaapar se koi len-dena nahi hai aur vah log roj paiso se len-den bhi nahi karte hai, un logon ko ye samjhne mein mushkil hoti hai ki UPI kya hai?  Toh agar aap un logon mein se hai jinko UPI ke bare mein kuch nahi pata toh aap pareshan na ho hinglishblog.in apke liye laya hai yah blog post jaha hum vistaar mein aapko batayenge UPI ke baare mein, ki UPI kya hai aur kaise upayog karte hai ? UPI Kya Hai? UPI ka full form Unified Payment Interface hai. UPI ek payment system (pranali) hai jo upayogkartaon ke alag-alag bank accounts ko ek hi smartphone apps se link karne ki anumati deta hai. UPI ke madad se aap apne smartphone ko virtual debit card ke tarah upayog kar sakte hai.