Hello friends, welcome hai Hinglishblog.in par jese ki apko pata hai India mein berojgari (unemployment) ek bahut major problem hai, kher ye topic alag hai ki kyun India mein maximum youth unemployed hai, aur uske bare aaj hum baat nahi karenge.
Aaj hum isi problem se related ek solution ke bare mein baat karenge ki kaise bina koi job kiye hum ghar bathe internet ke madad se online paise kama sakte hai.
Toh friends esa hi ek platform hai jaha aap ghar bathe online paise kama sakte hai, aur platform ka nam hai Amazon. Aur doston agar apko janna hai ki Amazon se paise kaise kamaye? toh ye blogpost bilkul apke liye hai.
Amazon se paise kaise kamaye?
Doston apko sunkar herani hogi Amazon world ka sabse bada online store hai.
Amazon ek esa platform hai jaha aap products online kharid bhi sakte
hai aur apna product online sell (bech) bhi sakte hai aur paisa kama sakte
hai.
Amazon mein online paise kamane ke bahut sare methods (tarike) hai. Aur abhi
mein apko unhi tariko ke bare mein batane ja raha hun.
Doston in tarikon ko use karke aap ghar bathe work from home karke Amazon se
easily online earning kar sakte hai. Aur bahut logon ka ye common
question (sawal) bhi hai ki Amazon se paise kaise kamaye.
Amazon se paise kaise kamaye aur Amazon se business kaise kare uski ko mein
yaha achese explain karne wala hun.
Amazon se paise kaise kamaye? step-by-step guide.
Doston jese ki meine phele hi ye bata diya tha ki Amazon se paise kamane ke
bahut sare tarike hai. Un mein se ek tarika hai online work karke
paisa kamana. Aur tarika sabse acha hai kyunki yaha aap work from home karke
acha-khasa online paisa chap sakte hai.
Kyunki Amazon ek bahut bada company hai aur billions ka turn-over hai toh apne
aap ko promote karne ke liye bahut sare cheezon ki madad leta hai like Small
vendors, Bloggers, Youtuber, Writers, Freelancers, etc.
Aap in mein se kisi bhi field ko choose kar sakte hai Amazon ke sath kam karne
ke liye. Aur agar aap chate hai ghar bethe work from karke online earning
karna chate hai toh aap Blogging, Youtube, Writing, choose kar sakte hai. Aur
doston inko hi Amazon Affiliates kaha jata hai.
Amazon se paise kamane ke tarike:
1. Amazon Affiliate Marketing
2. Amazon Seller bankar
Amazon par aap Amazon seller bankar paise kama sakte hai. Koi bhi Amazon
seller ban sakta hai koi criteria nahi iske liye.
Aapko Amazon seller bane ke liye sirf Amazon par register karna hoga aur apna
ID bana hoga fir aap koi bhi cheez like, beauty related saman, musical
instrument, paintings, sell kar sakte hai.
Aap home made saman ko bhi Amazon par bindas sell kar sakte hai jese ki Achar,
Kapde, Dolls, etc. Jo cheez aap ghar mein banate hai use normally aap jayda
logon tak nhi promote kar sakte hai lekin Amazon ke madad se ye possible hai.
Agar apka small business hai ya aap ek small vendor hai toh aap Amazon ke
madad se apne product ka acha prachar kar sakte hai aur logon ko apne business
ke sath jor sakte hai.
Aap jo bhi product Amazon ke madad se sell karnege uska percent jo ki bahut
kam hota hai wo Amazon apne pass rakh leta hai aur baki ke paise apko de deta
hai.
3. Amazon Product Delivery
Jese ki apko pata hai India ek devloping nation hai aur har sector mein bahut
teji se agge badh raha hai, wese hi E-commerce sector mein bhi bahut agge badh
raha hai. Jese-jese sab kuch digitalize ho raha hai Amazon, Flipkart, Myntra,
E-bay, etc. jese company shopping karna humare liye bahut easy bana rahi hai.
Aaj ke time par cheeze itni digitalize ho gyi hai ki log easily apne
smartphone se product online kar sakte hai. Ab toh food bhi online dilivery
hota hai.
Survey se ye pata chala hai ki 60% se bhi jayda log online shoppings,
smartphone ke madad se hi karte hai. Isse hum ye andaza laga sakte hai ki
Amazon seller banne mein kitna fayda hai.
Aur jitna jayda products ke demand honge utne hi jayda product ki delivery,
wese Amazon apne khud ke transport service (Amazon Transport Service) ka use
karta hai product deliver karne ke liye. But aur bahut sare third party
logistic aur courier company ke sath bhi tie-up hai.
Kyunki har jaga product deliver karna Amazon ke impossible hai toh aap Amazon
delivery dealer ban sakte hai jo koi particular jaga ka reponsibility
lega product deliver karne ka. Aur kam karke bhi aap acha paisa kama sakte
hai.
Related Posts
Digital Marketing
April 06, 2022
0
Comments
Post a Comment
Please do not enter any spam links.