Skip to main content

Funnels Aur Funnel Marketing Ke Bare Mein Full Jankari 2024

Agar aapne kabhi Marketing ke bare mein padha hoga ya marketing ke bare mein research ki hogi toh shayad aapne bahut bar funnels ya funnel marketing nam ke shabd ko suna hoga. Agar aap janna chahte hai ki yah cheez kaise kam karti hai toh yah blog post aapke liye hai.

Funnel Kya Hai?

funnel-kya-cheez-hai
Funnels ko samajhne se pehle hum yeh samajh lete hai ki "Conversion" kya cheez hai, Conversion ka matlab hai ki, jab bhi koi visitor aapke website mein aata hai aur aapke website ke andar kuch action leta hai jaise ki aapke website par kuch saman kharidna, aapke website par sign up karna, koi form fill-up karna, ya fir koi bhi action ji aapke website par kia ja raha hai, aur jo ki aapke website ka main uddeshya hai use hi conversion kahte hai.

Agar simple shabd mein samjhe toh conversion matlab jab bhi koi visitor aapke website par aakar browsing se direct action lene mein convert ho jata hai.
Basically Funnel ek set of steps hai jisse har visitors ko pass hona padhta hai conversion tak aane ke liye.Udaharan ke liye hum Flipkart Funnel ko lete hai, jese ki kuch steps hai jise visitors ko follow karna padhta hai kuch bhi saman kharidne se pehle :
  • Visitors ko pehle Flipkart.com mein jana hoga
  • Visitors ko product khojna hoga 
  • Jo bhi product ho use cart mein add karna hoga
  • Fir payment karke product ko kharidna hoga
Aur bhi kai sare alag steps hai jo hum khaate mein le sakte hai but jab hum purchasing funnel(kharidne ya bachne wali funnel) ki baat karte hai tab yah steps utna matter nahi karta hai. For example, "Flipkart.com" ke andarmein bhi bahut sare pages honge jese ki About us, Contact us, Privacy policy, and Careers page but hum inko funnel mein count nahi karte kyunki yah steps itna important nahi hai.

Hum in steps ko funnel kyun kahte hai?

Hum in steps ko Funnel isliye kehte hai kyunki jo Conversion wala process hai usse pehle bahut sare visitors aate hai website par aur pehla wala step pura kar lete hai but jaise-jaise vah visitors continue karte jaate hain next step ke liye unmein se bahut sare visitors khud se hi is process se nikal jaate hai aur dhire dhire jo visitors ki bheed hai vah kam hoti jata hai ya dusre shabd meh bole toh sankreen ho jati hai, aur jab hum is data ko graph mein utarte hai toh vah ek keep ke aakaar mein ban jata hai jise hum English meh Funnel kehte hai.

Jo sabse upari hissa hai waha sabse jada visitors aate hai aur unmain se jo sabse jada interested kharidar hote hai vah log hi aage badhte jaate hai ekdom funnel ke niche tak.
Jitna jyada aapka funnel chauda hoga aapke liye utna hi acha rahega kyunki tab jada se jada visitors aapke website par ayenge, isiliye hum kehte hai ki aapko apne funnel ko jitna ho sake utna chauda banana chahiye.

Hum apne Funnel ko chauda kaise kare?

Humain apne product ke vigyapan ka bahut bada jaal bichana hoga jisse jitne bhi naye visitors/customers hai vah humare product ke taraf aakarshit ho aur jaise-jaise logon ki bheed badhti jayegi humara jo Funnel hai vah chauda hota jayega aur humain yeh bhi sunishchit karna hai jo humara jaal hai vah bahut majboot ho yani ki jo humara vigyapan hai jisse hum logon mein jagrukta layenge vah bahut sateek ho aur logon ko pasand aaye.
funnel-aur-funnel-marketing-kya-hai

Funnel Marketing Ke Charan.

Funnels, Marketing mein kaise kam karti hai yeh batane se pehle main aapko ek baat clear kar dena chahta hun ki Internet Funnel Marketing, Sales Funnel Marketing, Digital Funnel Marketing lagbhag same hai aur inka kam karne ka jo process hai vah bhi lagbhag same hai. 

Jab bhi koi vyakti aapke product ya service ke bare mein sunta hai, us pal se jab tak vah vyakti use kharid le (ya fir na kharide) us samay ke doran vah vyakti aapke Funnels ke kuch vibhinn charano se gujarta hai. Har ek vyakti ke liye yeh yatra alag alag hoga jo ki bilkul unke interest level par nirbhar karega aur agar aap un logon ke problem ka sahi aur acha solution pradan karenge toh usmain aapka profit hoga kyunki tab vah aapki hi product ya service ko choose karega.

Funnels ke 4 mukhya charan hote hai

1. Awareness/Jagrukta

Awareness (Jagrukta) sabse pehla charan hai ek Funnel ka kyunki isi charan par logon ko aapke ke product ya service ke bare meh jankari milti hai. Logon ko aapke bare meh jankari social media duara, vigyapan duara, ya kisi vyakti ke duara bhi mil sakti hai.
Kyun aur kaise yah log aapke Funnel mein aage badhenge yah nirbhar karta hai aapke sales ke upar aur aapke marketing skills ke upar.

2. Interest/Dilchaspi

Jab logon ko aapke brand ya company ke bare mein pata lag jayega vah apne interest ke upar aapke ke product ko ya fir aapke service ko jaanch karenge aur yah dekhenge ki kya aapne unke problem ka sabse acha solution dia hai ya nahi. Agar dia hai toh vah aapko chunenge.

3. Decision/Nirnay

Jo bhi vyakti yaha tak aah pahunchta hai, unke pass aapke company ya brand ke bare mein jo basic jankari hai vah rehti hai. So, yaha par vah log aur bhi jada khoj bin karte hai aapke pricing ke upar, packaging options ke upar. Sales page, webinars, aur personal calls bahut jyada jaruri is charan par kyunki yah aapko madad karegi kisi bhi customer ko saman bechne mein

4. Action/Karya

Aapne jitna bhi mehnat kiya hai ya aapne jitna bhi kam kia hai vah sara cheez is charan mein nirbhar karegi, ki jo vyakti hai usne aapse aapka product ya service kharida hai ki nahi. Agar nahi kharidta hai toh koi baat nahi aap campaigns kar sakte ho isse aapka jo Funnel hai wo aur jada chauda ho jayega aur jada se jada log aapke website par visit karenge.

Funnel Kaise Banaye?

Sales Funnel banane ke liye yah kuch 5 steps hai jo aapko ek basic idea degi.

1. Ek Landing Page Banaye.

Landing page ek first impression ki tarah hoti hai kyunki yahi par ek vyakti ko aapke company ke bare mein pata chalta hai. Toh jab koi vyakti kisi vigyapan par click karta hai, webinar par sign up karta hai, ya ebook download karta hai vah direct landing page par chala jata hai. Aapke page se yah saaf pata chalna chahiye ki aap ek company ke roop mein kon hai aur aap se unko kya anokha lav milega. Aur sabse important aapko yah dhyan rakhna hai ki aapke landing page mein forms ho jisse ki aap informations collect kar sake jese ki email address taki aap unke ke sath aage tak baat kar sake.

2. Kuch Value(Mulya) Pradan Kare.

Yaha pe aapko aapke visitor ko kuch mulya cheez pradan karni hogi unke email address ke badle jese ki ek Lead Magnet, jo ki bahut hi pravabhit prastab rehta hai dene ke liye aapke landing page se.

3. Poshan(Nurture) Karna Suru Kare.

Is samay jo vyakti hai vah Awareness(Jagrukta) stage se Interested(Dilchaspi) stage mein chala jata hai. Aur kyunki aapke pass unke email addresses hai jo aapne landing page se collect kiya hai toh aapko continuously unhen unke email mein kuch acha educational content bhejna hoga jisse unko kuch value mile aur hum yah bhi keh sakte hai ki aap unko email ke duara poshan kare.

4. Upsell(Grahakon ko manane ki koshish kare).

Jaise-jaise yah log nirnay lene ke charan mein aate hai, aapko kuch acha and interesting offer dena hoga jisse ki vah direct kharidne ki decision lele, jesse ki product ka demoextended free trial, ya special discount.

6. Chalte Rehne Do.

Yah Action Phase hai, chahe koi vyakti aapse product kharide ya na kharide aap ko apna communication jari rakhna hai. Naye customer par jada focus kare aur jisne nahi kharida hai unko monthly basis pe kuch acha content(Lead) provide kare email ke duara.

Funnel Marketing Ke Fayde.

Funnel-marketing-ke-fayde.

Funnel Marketing ka jo basic foundation hai use samajhna utna mushkil nahi hai, aur funnel marketing ke bahut sare fayde hai.
  • Personalized(vyaktigat) leads ke madhyam se sales badhana.
  • Sales bandh karne ke liye team ko aasani hoti hai aur leads ke bare mein jaldi jankari milti hai.
  • Aapke leads ke bich jagrukta aur visvash paida karti hai jisse aap ek brand value bana sake.
  • System ke swachalit hone ke karan bahut kam trutiyaan milna.
Yah sabhi factors aapko adhik leads banane mein aur teji se deals ko bandh karne mein madad karti hai, iske alava aap apne business ko optimized cost par tej gati se aage badha sakte hai.

FAQs

Q: Funnel marketing kya hai?
A: Funnel marketing ek tarika hai jisme aap apne target audience ko ek series of steps se guzarne ke liye guide karte hai, jisse unhe ek specific goal tak pahuchaya ja sake. Isme aap audience ke har stage me alag-alag content aur messaging ka use karte hai.

Q: Funnel marketing ke stages kya hai?
A: Funnel marketing me 3 stages hote hai: Top of the funnel (TOFU), Middle of the funnel (MOFU), aur Bottom of the funnel (BOFU). TOFU me aap apni target audience ko attract karte hai, MOFU me aap unhe educate aur nurture karte hai, aur BOFU me aap unhe convert karte hai.

Q: Funnel marketing kaam kaise karta hai?
A: Funnel marketing kaam karta hai jaise ki aap apne target audience ko TOFU, MOFU, aur BOFU ke stages se guzarte hue guide karte hai. Har stage me aap different content aur messaging ka use karte hai. Isse aap apne audience ko engage karte hai aur unhe apne brand aur offerings ke baare me aware banate hai.

Q: Funnel marketing ke fayde kya hai?
A: Funnel marketing ke bahut sare fayde hai jaise ki aap apne target audience ko ek personalized aur relevant experience provide karte hai, aap unhe educate aur nurture karte hai, aur unhe ek specific goal tak pahuchane me help karte hai. Iske alava, aap apne marketing efforts ko target aur optimize kar sakte hai aur apni sales aur revenue ko increase kar sakte hai.

Q: Funnel marketing ke liye content kaise create kare?
A: Funnel marketing ke liye content aapke target audience ke journey aur stage ke according hona chahiye. TOFU ke liye aap content ko create kare jisse aap apne audience ko attract kar sake, MOFU ke liye aap educational aur informative content ko create kare, aur BOFU ke liye aap promotional aur convincing content ko create kare. Iske alava, aap different formats ka use kar sakte hai jaise ki videos, blog posts, infographics, case studies, etc.

Q: Funnel marketing ke liye metrics kya hai?
A: Funnel marketing ke liye metrics aapke goal aur stage ke according vary karte hai. TOFU ke liye metrics me impressions, reach, aur engagement rate shamil hai, MOFU ke liye metrics me lead generation aur lead nurturing ko track kiya jaata hai, aur BOFU ke liye metrics me conversion rate aur sales ko track kiya jaata hai.

Q: Funnel marketing ka ROI kaise calculate kare?
A: Funnel marketing ka ROI calculate karne ke liye aapko apne revenue aur marketing cost ko consider karna hoga. Iske alava, aapko apne conversion rate aur customer lifetime value ko bhi consider karna hoga. ROI calculate karne se aap apni marketing efforts ki profitability ko measure kar sakte hai.

Comments

Popular posts from this blog

Vegamovies nl, Vegamovies 2.0 2024 - Download Latest Bollywood HD Movies for Free

Looking for a website to download your favorite movies and TV shows? Look no further than Vegamovies nl or  Vegamovies 2.0 is a popular online platform that offers an extensive collection of movies, including the latest Bollywood, Hollywood, and regional releases. However, it's important to understand the potential risks associated with accessing and downloading copyrighted content from such websites. In this article, we'll explore the legality of using Vegamovies and provide information on legal alternatives for streaming and downloading movies and TV shows. What is Vegamovies nl, Vegamovies 2.0? Are you a movie buff looking for a website to download the latest Bollywood, Hollywood, Tamil, Telugu, Malayalam, and Punjabi films for free? Look no further than Vegamovies. Vegamovies is a popular website that allows users to download movies and TV shows in various languages and genres. With a vast collection of movies and TV sho

9xMovies - 9xMovies 2024 Bollywood & Hollywood Latest Movies For Free

9xMovies 2024 - Watch Bollywood, Telugu, and Tamil Movies In today's world, lots of people love watching movies, no matter how old they are. But, because everyone's so busy nowadays, not everyone can go to the movie theater to see the newest films. Many folks really want to watch the latest movies but can't make it to the cinema because of their busy schedules. So, the big question is: How can busy people enjoy movies without going to the theater? Well, most people have a mobile phone and internet connection these days. Phones have become a big part of our lives and guess what? Now, you can watch the newest movies right on your mobile device. There are websites on the internet where you can download movies, and one of them is 9xmovies ,  9xMovies.gd and 9xMovies.biz . These websites give you access to the latest Bollywood, Telugu, Tamil, and even Hollywood movies. But, it's important to know that watching movies online is okay, b

Filmy4wap - Download Bollywood & Hollywood Movies For Free 720p, 1080p

Filmy4wap 2024 - Filmy4wap xyz  Full HD Bollywood & Hollywood Movies Filmy4wap is a well-liked website where you can find a huge variety of movies, from the newest ones to old classics. Many movie fans like it because it's easy to use, has lots of movies, and provides simple ways to download them. Filmy4wap xyz 2024 Overview Website Name Filmy4wap, Filmy4wap xyz, Filmy4wap app Purpose Download and Transfer Movies Movie Genres Bollywood, Hollywood, Telugu, and Tamil Movie Status Newly Released and Old Genre Entertainment Type of Website Torrent Movie Download Categories Action Thriller Comedy Drama Cost of Download Free of Charge Filmy4wap in Features User-Friendly Interface: Filmy4wap is designed with simplicity in mind, ensuring an ea