Table of content
Campaigns karna matlab Abhiyan karna ek bahut hi achi
strategy hai marketing ke liye, aur jitne bhi dusre tarike hai marketing
karne ki un sab mein se sabse jyada successful tarika hai Campaign karna
kyunki Campaigns ke duara aap bahut jaldi apne potential customers
(sambhavit grahak) tak pahunch jate hai. Campaigns karna thoda mahanga
hota hai aur thoda jyada samay bhi lagata hai. So, yaha hum samjhenge ki
Campaign Marketing kya hai aur kaise kam karti hai, agar aap ko
Campaign marketing ke bare mein janna hai toh yah blog post aapke liye
hai.
Campaign Marketing Kya Hai?
Campaign Marketing bahut hi saral, organized(sangathit),
strategized(rananeetik) tarika hai jiske duara hum Company ki koi bhi
vishisht lakshya ko badhava de sakte hai jese ki kisi bhi naye product ke
bare mein logon ko jagruk karna, customers se feedback(pratipushti) lena,
services ki sales badhana, ya fir social media mein following badhana. Aam
taur par jo campaigns hai vah social media, TV, radio, email, poster, aur
jitne bhi aanya platform hai unke duara hum tak pahunchaya jata
hai.
Campaign puri tarah se advertisement mein nirbhar nahi hoti hai, hum isme
pradarshan, video conference, webinar, aur aanya interactive platforms ko
bhi shamil kar sakte hai.
Campaign(Abhiyan) ki paribhasha hai "
ek jude hue functions(karyon) ki series jo ki designe kia gya hai ek
vishesh parinam tak pahunchne ke liye". Hum Campaigns vibhinn lakshya ke liye bhi design kar sakte hai jaise ki
naye product se logon ko parichay karana, brand value banana, ek vishesh
product ka sale badhana jo already market mein launch ho gaya ho, Ya fir jo
bhi galat aphavahen hai aur negative samachar hai unke prabhav ko kam
karna.
Kitne Types(Prakar) Ke Campaign Marketing Hote Hai.
Bahut prakar ke Marketing Campaigns hote hai but unmein se jo
sabse jyada chalne wali tareeke hai vah main mention karna chahunga
:
- Email Marketing Campaign
- Product Marketing Campaign
- Affiliate Marketing Campaign
- Social Media Campaign
- Brand Development Campaign
- Paid Marketing
- Awareness Campaign
- Advertising Campaign
Campaign Marketing Ke Fayde.
Aap chahe koi bhi Campaign Marketing ka tarika use karlo, aapko
sab mein kuch na kuch benefits ya fayde jarur milenge, jo fayde
sab mein common hai vah kuch is prakar hai -
- Aapke brand ki visibility(drishyata) ko badhati hai.
- Aapke brand jagrukta aur manyata mein sudhar lati hai.
- Aapko authority(adhikar) aur credibility(vishwasniyata) ko banane mein madad karti hai.
- Apne darshokon ke sath jyada der tak relation mein rehne ke liye madad karti hai.
- Aapke aur customer ke bich trust aur loyalty banati hai.
- Aapke business ko industry mein ek expert ka padh dena.
- Lead generation ko behtar banane ke liye aapke site pe jyada se jyada traffic utpan karwata hai.
- Customers ko bahut teji se kharidne ya na kharidne ke decision ko lene mein madad karti hai.
- Social shares aur comments ke duara sanchar karne ke liye ek channel khol deti hai.
- Apne customers ko mulay pradan karti hai bina kisi restrictions aur conditions se.
Humne abhi tak yeh jana hai ki Campaign kya hai, Campaign ke
prakar, aur Campaigns ke fayde ab hum ye janenge ki Campaign itna
important kyun hai.
Campaign Marketing Mahatvapurn Kyun Hai.
Is campaign marketing se aap aapke customers, client, aur leads tak
bahut jaldi pahunchte hai aur yeh sabse sahi tarika hai is kam ke liye.
Campaign aapko aapke service ko samjhane ki suvidha deti hai aur aapke
brand ko aur bhi aage tak badhava deti hai.
Campaign ke duara jo
advertisement hoti usse bahut jyada logon ke dhyan ko apne taraf khinch
sakte ek normal advertisement ke tulna mein. Campaign bahut helpful hai
naye leads khojne mein aur aapko aapke clients ke sath sampark mein rakhne
ke liye.
Related Posts
Digital Marketing
January 25, 2021
1
nicely explanation.
ReplyDelete