Hello doston, hinglishblogin par aap sabka swagat hai. Aaj
hum log satta matka ke bare mein janenge jo ki India mein ek bahut hi
parsid gambling sport (jua khel) hai, aur sadiyon se log is khel ko khelte
huye aah rahe hai.
Muje pata hai ki aap mein se kuch logon ko pata hai ki
satta matka kya hai aur kuch ko bilkul idea nahi hai.
Bahut log ye mante hai ki satta matka khel luck par depend karta hai
jabki kuch log mante hai ki ye apke anuman lagane ki accuracy par depend karta
hai. Par jaha tak muje lagta hai ki ye khel dono luck aur anuman par depend
karta hai.
Toh doston aaj ka blogpost basically satta matka ke bare
mein hai, main asha karta hun apko ye blogpost pasand aye. Aur jo bhi jankari
apko yaha mile wo apke kam aye.
Table of content
1950 ke dashak mein India ke aajadi ke bilkul baad,
satta matka bahut hi lokpriya ho gya tha, aur us dauran isse "Aakara Jugar" ke nam se jana jata tha. Aur tab se samaye ke badhti raftar ke sath ye khel
puri tarah badal gya hai.
Satta matka jise satta king ke nam se bhi jana jata hai ek prakar ka
gambling (jua, lottery game) hai jaha log 0-9 ke bich random sankhya choose
karke satta(betting) lagate hai.
Satta Matka ki History
Klayan satta matka 1950 mein aajadi ke baad shuru hua tha, us time par
log cotton(ruie, kapas) ke opening(prarambh) or closing(samapan) rates(bhaon)
par satta lagya karte the. Aur ye practice(abhyas) teleprints ke madad se New
York cotton exchange se Bombay cotton exchange tak laya gya.
1961 mein jab New York cotton exchange ne ye satta lagane ka practice chor dia
tab jitne bhi juari the unhone paper ka piece use karna shuru kar dia is khel
ko jeevit rakhne ke liye.
Dosto basically satta matka mein hota ye hai ki ek paper ke tukre mein
0-9 tak sare sankhya likhe jate hai aur ek matka mein dal diya jata hai.
Fir
ek vyakti jake us matke se ek paper ka tukra utha ta hai aur jo number usmein
hota hai use jor se announce(ghoshana) kar deta hai. Lekin doston abhi ke time
ye game totally change ho gya aur phele jesa bilkul nahi raha sab kuch digital
aur online ho gya hai.
Satta matka offline mein taash ke gaddi mein se 3 patti nikala jata hai
aur uske basis par winner(vijeta) annouce kiya jata hai. 1980s and 1990s ke
dashak me ye khel bahut jayada badhee. Aap biswas nahi karoge us time par
sattebaji ki matra har mahine 50 crore tak chala jata tha.
Abhi ke time mein jo winning number hota hai wo randomly generate kia jata hai
digitally ya online. Bahut sare online websites hai jo
satta matka khilate hai logon ko, aur interested logo jate bhi hai in
websites par khelne ke liye taki wo badha amount win kar sake.
Satta Kya Hai?
Koi bhi game jo hum paise laga kar khelte hai 2 ya 2 se jayda logon ke bich
use hum satta khate hai. Agar koi game jese ki teen patti khel rahe hai
apne doston ke sath bina paise laga kar use hum satta nahi kahenge. Indian
bhasha mein koi khel jo paise aur sattebaji se related hai use satta kaha jata
hai.
Doston is post hum apko bilkul satta khelne ke liye motivate nahi kar rahe hai
ye blogpost bas apke information ke liye hai. India me satta lagana mana
hai(illegal hai).
Satta King Kya Hai?
Apke jankari ke liye phele ek baat bol du India mein jua khelna bahut hi
common hai, ordinary logon se leke amir log tak ye game pure India mein
khelte hai.
Toh doston satta king ko aap lottery, jua, ya luck ka game kahe sakte hai jo
ki har festival ke time specially pooja, mela mein humare desk ke kone-kone
mein khela jata hai. Satta matka ko satta king bhi kaha jata hai. Bhaut
hi kam samaye mein amir bane ke liye log ye game khelte hai.
Comments
Post a Comment
Please do not enter any spam links.